Shairy by Females



Ankho mai rang bhar pyar k bharne lagi


Aankho mai rang pyar k bharne lagi hou mai,
aaina samne hai sawarne lagi hou.
aankho mai us ki pa ke ishare wafao ke,
gehre samundaro mai utarne lagi hou mai.
manzil, na qafila, na musafir,na rehbar,
yeh kese raasto se guzarne lagi hou mai.
ahbaab k fareeb musalsal ne yeh kiya ,
parchaiyo se apni hi darne lagi hou mai.
aflaq jab ana k phigalte huye mile,
par apni aarzo k katrane lagi hou mai.
"meena" tasawraat mai parchaiyan si haien,
jane yeh zindagi marne lagi hou mai.


Poet By: Dr.Meena Naqvi


Na mai khayal mai tere na mai gumaan mai....




Na mai khayal mai tere na mai gumaan mai hou,
yaqeen dil ko nahi hai k is jahan mai hou.
Elahi rakhiyega duniya mai sarfaraz mujhe,
mai pahle ishque k pahle hi imtehaan mai hou.
wo jis ko dekh kar bacche bhi sare chor gaye,
mai ek toota khilona kisi dukaan mai hou.
bada taweel safar tha yeh zindagi ka meri,
farishto sone do mujh ko k mai thakaan mai mai hou.
ab  un se kya kahou ae "fozia" k khud mai abhi,
kabhi nafi to kabhi ha k darmiyan mai hou

Poet By: Fozia Mugal


Ku ba Ku phhell gayi baat shanasai ki,
us ne khushbu ki tarah meri pazirai ki.
kese kah du k mujhe chor gaya diya hai us ne ,
baat tu sach hai magar baat hai ruswai ki.
wo kahi bhi gaya , lota tu mere paas aaya,
bus yahi baat hai acchi mere harjai ki.
tere phalu , tere dil ki tarah abaad rahe,
tujh par guzre na qayamat shab tanhai ki.
us ne jalti huyi peshani par jab haath rakh,
rooh tak aa gayi taseer masai ki.
ab bhi barsaat ki raato mai badan toota hai,
jaag utthi hai ajeeb khuwaish angrai ki.

Poet By: Praveen Shakir




Miljul k mouhabbat ke din..



Miljul Ke Muhabaat Ke Din Aise Guzaarungi Ki,
Wo Mujhko Sawarega Mai Usko Swarungi.

Ho Laakh Hawa Dushman Is Baar Patang Apni,
Jis Chhat Pe Wo Keh Dega Us Chhat Pe Utaarungi.

Pardes Chale Ho Tum Lekin Zara Socho To,
Din Kaise Bitaungi Shab Kaise Guzarungi.

Allah Madad Teri Mere Liye Kaafi Hai,
Main Aur Kahin Jaakar Daaman Na Pasaarungi.

Hai Naam "Sana" Mera Deewani Tumhari Hoon
Koyal Ki Tarah Tumko Din Raat Pukarungi




Poet By: shaista sana



Rasm E wafa nibhana ......



Rasm E Wafa Nibhana To Ghairat Ki Baat Hai,
Wo Mujhko Bhool Jaye Ye Hairat Ki Baat Hai.
Sab Mujhko Chahte Hain Ye Shohrat Ki Baat Hai,
Mai Usko Chahti Hoon Ye Kismat Ki Baat Hai.
Izhaar E Ishq Kar Hi Diya Mujh Se Aap Ne,
Ye Bhi Janab Aap Ki Himmat Ki Baat Hai.
Taarif Kar Rahe Hain Sabhi Aaj Kal Meri,
Isme Koi Zaroor Siyasat Ki Baat Hai.
Rakhta Hai Yunhi Yaad Kisi Ko Koi Kahan,
Ye To Bas Apni Apni Zaroorat Ki Baat Hai.
Wo Jis Ko Chahey Apne Karam Se Nawaz De,
Ye To Khuda Ki Bandey Se Nisbat Ki Baat Hai.
Sauda Kisi Se Maine Ana Ka Nahin Kiya,
"Nuzhat" Ye Mere Wastey izzat Ki Baat Hai


Poet BY: Nuzhat anjum





Hooth kayar hai keh nahi pate

Dekho kitne sitar bajte hai,sare nagme nigar bajte hai,
jab se tumne mujhe nihara hai ,mujhme ghunghru hazar bajte hai!
itne ghere nishan deti hai preete sab kuch bakhan deti hai
ase sacche sapan dhakadkti hai,jase masjid ajan deti hai,
aapse dur reh nahi paate aab ye tanhayie seh nahi paate
meri palko ko aap pad lena hooth kayaar hai keh nahi paate!!
sab ko dete nazeer dekhe hai humne hardum aziz dekhe hai
prem ke maan nahi aate khud ko khete kabir dekhe hai
rehnuma mile jo wo shikar hi mile
aastino mai leke kataar hi mile!!

Anu Sapan