Dr. Basheer Badar ji!!
Dr.Basheer Badar - Yahi hal mera hai ,mai kin lafzo mai aapka jawab do!
Nausheen - Dr. Sahab aaapki shayari kebare mai to sab jante hai aap apne bare mai kuch bataye?
Dr.Basheer Badar - Mai basically,merebaap dada Faizabad ke rhene wale hai lekinmai kanpur mai paida hua . Aligarh Muslim University se maine M.A. Phd ki Aur meri sabse badi pehchan yehai ki
mai likhta Urdu mai hu aur pada jata hu Hindi mai Angrezi mai Persian mai Ye meri
pehchan hai!
Nausheen- Iska matlab aapko persian bhi
Dr.Basheer Badar -Ha ji ,mujhePersian aati hai Punjabi bhi ,Gujrati ,Marathi bhi maineapne aur Galib
ke shero ka collection Gujrati aur Marathi mai banaya hai aur jo paisa aata hai to mai
kheta hu ki mai wo nahi lunga balki wo naye writers ki kitabo ko chapane mai aur unke
promotion mai istemalkar lijiye mere passto aur bhi jariye hai!
Nausheen- Dr. Sahab thoda aapki zindgi ke bare mai baat karte hai .kase aapshayari ki taraf bade
Dr.Basheer Badar - Shayari ne mujhe talash kiya
Sajti hai kahi aansuo se jami ,
Gazal ke sher bhala kaha roz roz hote hai!!
Maine shayari ko bilkul talash nahi kiya balki shayari ne basheer badr ko talash kiya
woMir Galib ke panjo ke neeche dabi hui thi 150 saal se shayari ke dil par galib ka juta
rakha tha Mir ki chappal rakhi thi use Bashir Badr chahiye tha Jo use pyar se le aya
Nausheen- ji koi hadsa tha jab aap shayari ki taraf bade ,koi vakya ??
Dr.Basheer Badar - Koi haath bhi na milayega ,jo gale miloge itefaq se!
Ye naye mizaz ka shehar hai,jara fasle se mila karo!!
Nausheen- Kya baat hai g ,tab age kya rahi hogi aapki
Dr.Basheer Badar - Maine jo phele sher kaha hai jo duniya ka sabse mashhur sher hai jomaine paida hote hi
kaha tha aur wo duniya ka sabse mashhur sher hai -
Ujale apni yaado ke humare saath rhene do,
Na jane kis gali mai jindgi ki sham ho jaye!!
Nausheen- ye aapka sher ase hai jo itihas ke panno mai sunhare aksharro mai likh gaya hai
ab agar aapki izazat ho to hum kuch sawal rahat badr ji se karna chahte hai
Dr. basheer badar- ji
Nausheen-aap kuch batayei apne aur badr ji ke bare mai
Rahat Badar - mai yaha pe ye khena chahungi ki mai is baat ko janti thi ki mai jis aadmi se bandh rahi hu wo mera akela nahi hai mujhe gc bhandari ji ne kaha tha ki beta tum kabhi bashir badr ko kewal apna nahi samajhna ye Hindustan ki property hai jo tumhe di ja rahi hai isiliye maine bhi inka khayal Hindustan ki property ki tarah rakha hai
nausheen- Dr. sahab jab aaap rahat ji se mile to aapne inse kya kaha,kuch ase waqya,
Dr. basheer badar- Ha ji ek sher maine bhi kaha tha-
Mai is khayalse iske kareeb aya tha,
Kidusro ki tarah wo bhi bewafa hoga!!
Par ajj natija ye hai ki ye mere bete ki ammi hai
nousheen- ji ek aakhiri guzarish aap kisi ek sher ke madhyam se apne chahne walo se kya khena chahenge
Dr.Basheer Badar- saat sandoko mai bharkar dafan kar do nafrato,
aaj insaa ko mohabaat ki jarorat hai bhut!
nausheen- Wah bhut khoob ji