Allah Janta Hai............................
Jo bhii buraa bhalaa hai Allaah jaanataa hai
bande ke dil me.n kyaa hai Allaah jaanataa hai
ye farsh-o-arsh kyaa hai allaah jaanataa hai
pardo.n me.n kyaa chhupaa hai allaah jaanataa hai
jaakar jahaa.N se ko_ii vaapas nahii.n hai aataa
vo kaun sii jagaah hai allaah jaanataa hai
nekii-badii ko apane kitanaa hii tuu chhupaaye
allaah ko sab pataa hai allaah jaanataa hai
ye dhuup-chhao.n dekho ye subah-shaam dekho
sab kyuu.N ye ho raha hai allaah jaanataa hai
kismat ke naam ko to sab jaanate hai.n lekin
kismat me.n kyaa likhaa hai allaah jaanataa hai
Poetry by : Akhtar Shirani
Naat shareef
Dil mai hai aarzoo hai madeena maqaam ho
roze k aas paas meri subha shaam ho,
dil main ho teri yaad zaba par par tera zikar
ae kash umar apni khuch aese tamaam ho,
tareef un ki kese bayaa kar sake koi
baad az buzuarg faqat jin ka naam ho,
nisbat se teri manzil meraaj pa gaye
shah wa gada ho ya koi adna gulaam ho,
dare fana se jab ho meria aakhri safar
hamde khuda ho lab par mere unka naam ho,
sajid" adab se naat e nabi yu tamaam kar
yani darude paak par hi ikhtetaam ho,
Poet By: Sajid ul Azmi
Naat shareef
Bashar maqaam-e- risaalat maa-aab kya jane.
samundaro ki haqiqat hubaab kya jane.
hame tu itnikhabar hai ki namaaz farz huyi,
khuda ne unse kya kiya kiya khitaab kya jane.
huzoor (sal) ko ataa ki khuda ne jannat se,
wo khushbuyee wo nazakat gulaab kya jane.
karam se aap k bach jaye hashar mai warna,
bashar bashar hai wo itna hisaab kya jane.
badan tha jisse mazayyan hamare aaqa ka,
wo roshni wo chamak aftaab kya jane.
mile jo ahmad marsal ko khubiya aamir,
wo mujh sa koi haqeer wa kharaab kya jane
Port By: J.Rasheed